Friday 27 July 2012

Kaafir Andhere

Kaafir andhere… daale hain dere,, Dar pe khada hai muh ghuma ke rootha savera
Lamhe sapere sone na de re.. Lagne laga hai kashmakash ka dil ye basera

Bharti hain jurmana meri kaunsi khata,, Naata todne se pehle itna to bata,
Teri yaadon ke sheher mein rafta-rafta,, Gali gali kona kona phirta hoon laapata
Lapata…
Kaafir andhere…
Qismat ne mohlat bhi di naa mujhe Aisi thi naaraazagi Ambar mein jaane manaahi hai kyun Meri hi parwaaz ki Pat-jhad ne chhuaa jo tera mera rishta Manzil murjhayi ujda rasta… Teri yaadon ke sheher mein rafta rafta Gali gali kona kona phirta hoon laapata Lapata… Kaafir andhere… Woh ho ho… Mrig trishna jaisa tha apna milan,, Likha tha hona juda Tu bhi mahez aam insaan hai,, Samjha tha maine khuda Ehsaas jo pehle naaz tha dil kaa,, Ab dard ki tarah chubhta rehta.. Teri yaadon ke sheher mein rafta-rafta,, Gali gali kona kona phirta hoon laapata Teri yaadon ke sheher mein rafta-rafta,, Gali gali kona kona phirta hoon laapata Lapata… Kaafir andhere..

No comments:

क्यों पसंद आया