Sunday 24 March 2013

computer pendrive se boot

windows xp installation device banana bahut hi asaan hai. sabse pehle yahan click
karke ek zip file download kijiye. download karne ke baad ise unzip kijiye.

1. Ab folder ko open kijiye usme do folder honge usme se USB_Prep8 folder open karke usb_prep8 file par click kijiye. is par click karte hi ek dos window open ho jayegi.


2. Aage badhne ke liye koi bhi key press karne ko kahajayega isliye koi bhi key press kar dijiye.


3. Aap jaise hi kisi button ko press karenge PeToUSB naam ki ek window open hogi. Ab aapki pendrive computer me lagi honi chahiye.


4. Ab PeToUSB window me pendrive select kijiye aur format karne ke liye start par click kar dijiye.


5. pendrive complete format ka message aane par Ok kar dijiye. lekin dhyan rahe PeTOUSB window ko band na karein.


6. Ab window ke start button par click karke run window open kijiye. usme cmd type karke enter press kijiye. enter karte hi ek aur dos window open ho jayegi.


7. Ab aapko is dos window me command dete hue us file ke jo apne sabse pehle download ki thi ke Bootsect folder me jaana hai.


8. maine ise my documents me rakha tha aur ye commands dete hue is folder ko open kiya:-
cd my documents
cd flash drive prep
cd Bootsect



9. ye sab type karne ke baad bootsect.exe /nt52 g: type kijiye. yahan g: aapke pendrive ka volume name hai agar aapke pendrive ka volume naame e,f ya h ho to aap iske jagah wo hi type kijiye.


10. bootsect.exe /nt52 g: type karne ke baad Boot code update hone ka message show hoga. ab is dos window ko close kar dijiye. lekin sabse pehli wali dos window ko open rakhna hai. iske baad PeToUSB window ko bhi close kar dijiye lekin dhyan rahe sabse pehli wali dos window ko ab bhi band nahi karna hai.


11. jaise hi aap PeToUSB window ko band karenge apke samne pehle se khuli hui dos window ek list open hogi jisme 8 options show ho jayenge.


12. sabse pehle is list ke options me se 0 select karne ke liye 0 type karke enter press kijiye. uske baad 1 type karke phir enter press kijiye, fauran ek window open hogi isme cd/dvd rom select karke ok par click kijiye, is waqt apke cd/dvd rom me windows ki installation cd honi chahiye.


13. Ab 2 select karne ke liye 2 type karke enter press kijiye aur iske baad ek virtual drive ka naam dene ke liye x type kijiye.

14. Ab 3 type karke enter press kijiye aur usb ka naam jaise f, g, h ya jo bhi aapke pendrive ka naam ho wo type kijiye.


15. Ab 4 type kar ke enter press kijiye aur aage milne wale commands ko follow karte jaiye.
lagbhag 15 se 20 minutes ka time lagega apki pendrive ko bootable device banne me. beech me kuch message bhi show honge jaise aage badhne ke liye koi key press karein etc. is processing ke poore hote hi aapka pendrive installation ke liye ready ho jayega. ise check karne ke liye computer ki bios setting me first boot device usb ko kar dijiye. ab computer ko restart kijiye. aapka computer pendrive se boot hoga.
enjoy.

No comments:

क्यों पसंद आया